Aaj subah
Aaj subah uthakar kirno se roshan dekha bhigi ghaas me uchalate bhagte for chupchaap baithkar niharate ek khargosh ko, lagate chhalange tho fir puchha maine kyu kya tum bhi jaage ho kal raat nahi aayi nind kyu ki thi man me soch kya layegi kalki subah ye bhi tha dar ki hogi ya na hogi sunahari takdeer aur layegi bhor karwat badlaneme bhi thi ye jhijhak ki kahi dolega indra ka sihansan aur aaj hi ki raat ho jayega sab bhashm kisi tarah se kaati raat dar dar kar li har ek saans dhoop ki har kian se jaagi ummid aur aye ho bahar dekhne bhawishay kyu kiya vyarth tumne aye dost wo swapn jo ane the kal raat rah gaye adhoore kayi khwab jao jao...jee bhar ke ji lo ye pal kyuki bas yahi tho jo fir lout ke ata nahi.