Aaj subah

Aaj subah uthakar kirno se roshan
dekha bhigi ghaas me
uchalate bhagte for chupchaap baithkar niharate
ek khargosh ko, lagate chhalange
tho fir puchha maine
kyu kya tum bhi jaage ho kal raat
nahi aayi nind kyu ki thi man me soch
kya layegi kalki subah
ye bhi tha dar ki hogi ya na hogi
sunahari takdeer aur layegi bhor
karwat badlaneme bhi thi ye jhijhak
ki kahi dolega indra ka sihansan
aur aaj hi ki raat ho jayega sab bhashm
kisi tarah se kaati raat
dar dar kar li har ek saans
dhoop ki har kian se jaagi ummid
aur aye ho bahar dekhne bhawishay
kyu kiya vyarth tumne aye dost
wo swapn jo ane the kal raat
rah gaye adhoore kayi khwab
jao jao...jee bhar ke ji lo ye pal
kyuki bas yahi tho jo fir lout ke ata nahi.

Comments

Popular posts from this blog

मर्यादा

प्रेम - तलाश ख़त्म

वट सावित्री