Ekbaar fir - Deja vu

Ekbaar fir
Lagta hai jaise raaste tham se gaye hain.
Rok kar maine is nadee ko
bandhne ko gher dala.
dosh isme man ka hai mere.
Jo harik pal - ek naya hai.
bhul hi jata hai pagla
kal ko isne kya tha thaana.
Ek din aur ye naya din.
fir bhi mujhko lagta hai ab tho.
Mere pagal man ki adat ab mujeh bhi lag gayi hai.
todkar bandhan ko saare.
har ghadee naye bandhan ki
hi talash hai - fir kyu?
isiliye lagta hai sabkuch.
Mere man ki hera feri.
Dekhte hain - kal kya hogaa.

Comments

Popular posts from this blog

मर्यादा

प्रेम - तलाश ख़त्म

वट सावित्री