baate tumhari

Karte tho hai sabki baate sab hi
Mujhko karni thi baate tumhari
Sunane ko tumse tumhari kahani Kitni baar kisne, pucha hai tumse Kyu lagati hai tumko - Sardi ki dhup pyari
Kyu barish ki bundo me - chipi thi chingari Puchne ko aise sawal tumse
Uksane man ko tumhare - Ki dhundho tum jawab
Likhi hai maine - Ye chithi tumko
Karne ko baate - Tumse tumhari Kaise bitaye tumne wo pal jo tumko dekh tanha , maarne par tule the
Kaise nibhaye wo saare rishte , jo chute bhi tho bas chubhate hi the Aisi hi baate Zaruri nahi kit um bolo mujhko
Lo waqt jitna bhee chahiye tumko Nahi hai mujhe kisi - uttar ki abhilashaa
Sunnae ko fir bhi - mere kaan hain hamesha
Chahti hoon bas itana , ki khud se pucho tum
Aur jaano khud ko , Pehchalo khud koTab
tak , Tabtak - na jabtak
Man hi tumhara lage kahane tumse
Ki ho tum bhi sakhkham , Sab kuch karne ke
Paane ka sabkuch hai tumko adhikar
Maango Prakriti se , tum apna hissa
Baanto Gaurav se , Tum apna kissa Aise hi baate , Tumse Tumharee.

Comments

Popular posts from this blog

मर्यादा

वट सावित्री

प्रेम है