Poornima

Kal thi poornima aur tha pura chaand asmaan me

Jab nind se bojhil ankhe meri thi taiyar dekhne ko sapne

Jaise hi bujhakar ghar ki akhiri roshni

socha maine “ab khatam hua din”

Dekha maine karte koshish chaand ko – Jhaankne ki mere kamre me

Mujhse bhi gaya na raha aur khidki par jaakar , Maine bhi uthkar dekha

Tho fir dikhe mujhe – har ghar me bujhi roshni

Aur betahasha jhumte ped – lehraate tez hawao me

Dikhe mujhe wo tez hawa ke jhonke jinko karna mehsoos

Tha koso door.

Hatakar pardo ko thoda aur , jaakar thoda paas

Dekha fir se main – pura chaand

Dekhkar thodee der , ghumar dekha tho dekha

chandani bhigoti hai meri chadar aur takiyo ko bhi

Bas itna bhi ehsaas kisi ka – karne ki koshish aane ki paas

Lagi bhalee aur jakar maine moond li apni ankhe

Kyuki mujhko dekhne the sapne , puri chandani ke.

Tabtak jabtak – asmaan na badle rang

Lage bulane mujhko , din bhar ki halchal aur kolahal

Wo bhi tho bas rang hai jeewan ke aur

Abhi bahut kuch hai inme mujhe sikhne ke.

Comments

Popular posts from this blog

प्रेम - तलाश ख़त्म

प्रेम है

मर्यादा