Dance - Kathak


Dance1
Originally uploaded by prabhaJha

Abke saal
Mana ki hain mushkilo se halat
Nahi dikhate kuch bhi sudharane ke aasar
Lekin fir bhi hai jindagi chalti apni chaal
Gujarate jaate hain lamhe,sunakar apni taal
Ayenge na fir ye pal
Tho fir kar le kuch waade aaj
Is din me aur har ik aane wale din me
Aao dilo me diyo jalaye , utsav manaye
Sahridayate ke
Bhavnao se kar de roshan
Kuche galiyaan, har ik man ke
Andhkar ke
Paas tumhare , paas hamare
Jo bhi hain khushiya
Aao milkar baate
Utsaah badhaye
Jeewan ke har pal me jeene ke
Khaaye kasame
Saath saath banaye mushkil ko asan
Dekhe duniya ko apni aur sabki ankho se
Rakhakar dil me bas pyar
Nikale har ik durbhawna aur vikar
Baandhkar ek gathri me usko
Feke andhere kuye me
Roshan ho jisase duniya
Jalaye aise diye ham, aak dilon me
Banaye naya sansaar
Abke saal – utsav Manaye

Comments

Popular posts from this blog

प्रेम - तलाश ख़त्म

प्रेम है

मर्यादा