street


street
Originally uploaded by prabhaJha

Kuch tho hogee baat nayee
Kuch tho aaj milega aisa
Jisse ghul jayega amrit
Meri saari indriyo me
Aaj hi tho wo din hai
Bharkar isi utsaah me man ko
Hamne aash lagayi tumhari
Darwaje par lagake taktaki
Bahut der tak bahut door tak
Adhi pahar jab khabar nahi thi
Hamne fir chadha ke shankal
Dhul bhari galiyo me dhundha
Tumko, tumhare padchinho ko
Nahi dikhe tum, nahi mile tum
Fir darte darte
Galii tumhari pakdee hamne
Dekhakar charo or
Karke man ko ashwast
Lage chadhne ghumawdaar sidhiya
Jo jati thi shayad tumhare kamre ko
Aaj tho shayad mil hi lungi
Aaj tho shayad dekhungi main
Ho kaise tum, kitne badle
Sun lungi wo shabd tumhare adharo se
Jisko sunne ko hai adheer man
Aaj, abhi bas ab pahunchi ki tab
Bas itni hi der ki khul gayi meri ankhe
Tha ye sab ek swapan
Kahin bhi nahi the tum
Thi main aur meri bediyan
Badlate karwat

Comments

Popular posts from this blog

मर्यादा

वट सावित्री

प्रेम है