Vardaan

Prabho yah tumhara vardaan hota
Jihwa agar mujhko di hi na hoti
kalam meri likhti panno pe panne
aur meri tulika rangati kahani
dekhte unko aur padhti wo aankhe
samjhti jo bhasha mere hriday ki
aur baki nazare, unpar thithak kar
guzar hi jo jati karke, andekha
tho accha hota, kam se kam
mujhe fark samjh me hi aata
kisne hai samjha aur kisne na jana
prabho yah tumhara vardaan hoga
kahu main sabhi kuch
Ab kalam se , tulika se.

Comments

dollyjha said…
A beautiful and pragmatic thought

Popular posts from this blog

मर्यादा

वट सावित्री

प्रेम है